rah gae ashkon men lakht-e-jigar aate aate
ruk gae bahr se laal-o-gohar aate aate
tham gae qatra-e-khun-e-jigar aate aate
ruk gae mujmar-e-dil se sharar aate aate
hote hote na hua misra-e-rangin mauzun
band kyuun ho gaya khun-e-jigar aate aate
tham gae ashk mire aankh se dhalte dhalte
rah gae chashm-e-sadaf se guhar aate aate
rah gaya kahne pe ghammazon ke sun sun ke miri
phir gaya yaar mira raah par aate aate
de diya naqd-e-dil us but ko baghair az jaane
ho gaya raah men kaisa zarar aate aate
dekhte dekhte dekhenge mire jauhar-e-taba
aenge aenge ahl-e-nazar aate aate
kya bhara zang-e-kudurat se ye aina-dil
jo nazar aae na vo phir nazar aate aate
gardish-e-chashm ne kis ko tah-o-bala na kiya
ho gae zer-o-zabar raah par aate aate
ashk-e-khuni nahin aate hain jo ankhon se tiri
kyuun ruki ‘muntahi’ dil ki khabar aate aate