rah-e-hayat ki khoi hui sada ban jaa.e
hujum-e-gham men koi ho jo aasra ban jaa.e
ye karvan-e-mohabbat hai ai ḳhirad-mando
samundaron se bhi guzre to rasta ban jaa.e
zaban pe zikr usi ka ho roz-o-shab kyun-kar
na chahiye use itna ki vo ḳhuda ban jaa.e
ulajh ke rah sa gaya huun tire ḳhayalon men
ki ik ḳhayal miTa.un to dusra ban jaa.e
phir us ke ba.ad hunar tera mo’atabar hoga
tarash sang kuchh aise ki aa.ina ban jaa.e
hazar ki ashk na chhalke nigah se ‘anvar’
ruḳh-e-sitam na kahin dard-ashna ban jaa.e
Leave a Reply