ra.egan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar
gard gard apni basirat ḳhaak ḳhaak apna hunar
jis taraf dekho hujum-e-chehra-e-be-chehragan
kis ghane jangal men yaaro gum hua sab ka hunar
ab hamari muTThiyon men ek jugnu bhi nahin
chhin kar be-rahm mausam le gaya saara hunar
toḌ kar is ko bhi ab koi hava le ja.egi
ye jo barg-e-sabz ke manind hai mera hunar
ab kahan dil ke lahu men bhigi bhigi agahi
jeb men ham bhi liye phirte hain mange ka hunar
dekhna hain khelne valon ki chabuk-dastiyan
taash ka patta sahi mera hunar tera hunar
garmi-e-pahlu yahi tashkik o la-ilmi ki aanch
zauq-e-gumshudgi se ham hain ba-ḳhabar ya ba-hunar
bas yahi ḳhakistar-e-jan hai yahan apni shanaḳht
ho gaya saara badan jab raakh to chamka hunar
shaḳhsiyat ka ye tavazun tera hissa hai ‘faza’
jitni saada hai tabi.at utna hi tikha hunar
Leave a Reply