raaz ka bazm men charcha kabhi hone na diya
ham ne apne ko tamasha kabhi hone na diya
ham ko is gardish-e-dauran ne kahin ka na rakha
phir bhi lahje ko shikasta kabhi hone na diya
mai-kade men bade kam-zarf the piine vaale
aankh ko saghar o miina kabhi hone na diya
dil men ik dard ka tufan chhupae rakkha
aankh se raaz ko ifsha kabhi hone na diya
roz jalna hai use roz jalana hai use
atish-e-shauq ko thanda kabhi hone na diya
umr rishton ke taqaze hi nibhate guzri
zindagi ne mujhe apna kabhi hone na diya
sab se mahfuz maqam-e-gham-e-tanhai hai
fikr-e-duniya ne akela kabhi hone na diya
Leave a Reply