raat main is kashmakash men ek pal soya nahin
kal main jab jaane laga to us ne kyuun roka nahin
yuun agar sochun to ik ik naqsh hai siine pe naqsh
haa.e vo chehra ki phir bhi aankh men banta nahin
kyuun uḌati phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko hava
main agar ik shaḳh se TuuTa hua patta nahin
aaj tanha huun to kitna ajnabi mahaul hai
ek bhi raste ne tere shahr men roka nahin
harf barg-e-ḳhushk ban kar TuTte girte rahe
ghuncha-e-arz-e-tamanna honT par phuTa nahin
dard ka rasta hai ya hai sa.at-e-roz-e-hisab
saikaḌon logon ko roka ek bhi Thahra nahin
shabnami ankhon ke jugnu kanpte honTon ke phuul
ek lamha tha jo ‘amjad’ aaj tak guzra nahin
Leave a Reply