ik phareri jo tira khak-basar leta hai
thaam jibril-e-amin apna jigar leta hai
saath apne koi asbab-e-safar leta hai
to faqir us ghadi sar zaanu pe dhar leta hai
chhed-chhad apne uda kaun sake ai qibla
barq se daam koi musht-e-sharar leta hai
dekhiye kya ho chale jaao miyan apni raah
kaun yaan ham se gharibon ki khabar leta hai
baghban ka ye nahin jurm nasib apne ki vo
chhant kar sab men pakad meri kamar leta hai
koi sarkar junun ki nahin lazim naaeb
kaam jitne hain vo sab aap hi kar leta hai
kah liye kyuun na ho sabze ki sukhan mera siikh
daya-e-abr-e-bahari ke hunar leta hai
sina-e-nakhl se aati hai ubal duudh ki dhaar
khinch is ka jo koi tifl tabar leta hai
hove parlok udaybhan to lala-ghansham
un ke phukne ke liye mol agar leta hai
naunihalan-e-chaman ko ho bhala kyunkar chain
tod gul un ke koi koi samar leta hai
un ki qazen bhi tarana ye suna jaati hain
ki tabar leta tabar leta tabar leta hai
is zamin men vo hai ik baagh laga ai ‘insha’
jo ki tuuba ki bhi choti ko kutar leta hai
Leave a Reply