duur ke Dhol suhane hain
sadiyon ke afsane hain
sham-e-mohabbat jal ke samajh
ham tere parvane hain
dil men utar kar dekh zara
chahat ke tah-ḳhane hain
maang rahe hain tujh se vafa
ham bhi kya divane hain
yaron ki bad-niyyat se
sharminda yarane hain
‘hafiz’ ab TukḌe TukḌe
zehn ke tane-bane hain
Leave a Reply