ḳhayal-o-ḳhvab ki duniya kahan hai
tiri ankhen tira chehra kahan hai
ham apne shauq men Duube hue hain
hamare shahr men dariya kahan hai
to saari justuju hi ra.egan thi
vo ik lamha rifaqat ka kahan hai
har ik taare se ja kar puchhta huun
ye suraj raat ko jaata kahan hai
ye kaisa shor hai divar-o-dar ka
hamare ghar men vo rahta kahan hai
abhi rusva.iyan to aur hongi
abhi ham ne use socha kahan hai
agar ham ret ki divar the to
hamare jism ka malba kahan hai
talab ke raste par aa gaya huun
batao ab mujhe jaana kahan hai
muhalle-dar sab aram se hain
mire ham-sa.e ka kutta kahan hai
ye ham jo ‘qais’ hain bas naam ke hain
hamare sar men vo sauda kahan hai
Leave a Reply