har lamha zulmaton ki khudai ka vaqt hai
shayad kisi ki chehra-numai ka vaqt hai
kahti hai sahilon se ye jaate samay ki dhuup
hushyar naddiyon ki chadhai ka vaqt hai
hoti hai shaam aankh se aansu ravan hue
ye vaqt qaidiyon ki rihai ka vaqt hai
koi bhi vaqt ho kabhi hota nahin juda
kitna aziiz us ki judai ka vaqt hai
dil ne kaha ki sham-e-shab-e-vasl se na bhaag
ab pak chuki hai fasl katai ka vaqt hai
main ne kaha ki dekh ye main ye hava ye raat
us ne kaha ki meri padhai ka vaqt hai
Leave a Reply