dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
raat ka haath laga aur hava tuut gai
suraji aag men jhulsa gaya saaya saaya
ruuh ki aankh khuli chand shikasta paaya
niile akash ke nezon pe siyahi chamki
vaqt ke jism men lamhon ki kamanen tutin
paanv men phans chubhi aankh men rasta nikla
dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
Leave a Reply