yaar ke nargis-e-bimar ka bimar raha
yahi azar mire darpai-e-azar raha
umr-bhar shefta-e-chashm-o-lab-e-yar raha
kabhi surat rahi mujh ko kabhi bimar raha
dil ko mere na zara ranj shab-e-tar raha
sham-e-afroz ḳhayal-e-ruḳh-e-kaddar raha
lab pe dil-soḳhton ke naala sharar-bar raha
sard-mehri ka tire garm ye bazar raha
main fida ruḳh pe vo zulfon ka giraftar raha
dil ko tujh se na mujhe dil se sarokar raha
ḳhud-faroshi sar-e-bazar jo laa.i un ko
misr men ek na yusuf ka ḳharidar raha
mere marne se phansa dam-e-gham-o-ranj men vo
main riha ho gaya sayyad giraftar raha
but-parasti men bhi bhuli na mujhe yad-e-ḳhuda
haath men sub.ha gale men mire zunnar raha
laakh asiron ko kiya tum ne riha zindan se
ek mahrum-e-inayat ye gunahgar raha
teri ai vahshat-e-dil dast-darazi na ga.i
ba.ad-e-murdan bhi kafan men na koi taar raha
rauzan-e-qabr se jhanke jo vo iisa aaya
mar ga.e par bhi hamen diid ka azar raha
chuum liin nashshe men aaj un ki nashili ankhen
ain be-hoshi-e-lazzat men bhi hoshiyar raha
ruḳh se apne jo naqab us ne uThaya to kya
parda-e-sharm-o-haya mane-e-didar raha
dasht-e-vahshat men rahe qais se lakhon hamrah
saare divanon ka main qafila-salar raha
be-ḳhata kaun dil-azar ḳhafa tha tum se
umr-bhar tu jo ‘qalaq’ ziist se bezar raha
Leave a Reply