aina ban ke apna tamasha dikhaen ham
yuun samne rahen ki nazar bhi na aaen ham
mumkin hai daur-e-jashn-e-charaghan ho jab yahan
vo tirgi badhe ki sahife jalaen ham
darpesh hai guzishta ruton ka safar hamen
hairat na kar ki laut ke vapas na aaen ham
taufiq-e-sair-e-bagh agar ho to ab ki shaam
dil ki jagah shajar pe parinde banaen ham
khamosh ho raho ki sar-e-shahr-e-arzu
uftad vo padi hai ki ab kya bataen ham
Leave a Reply