Kahta Hai Baghban Lihaza Na Chahiye

kahtā hai bāġhbān lihāzā na chāhiye

varna chaman kā haal chhupānā na chāhiye

is mashvara ke saath ki charchā na chāhiye

dil kah rahā hai un pe bharosa na chāhiye

paḌ jaa.e ḳhadd-o-ḳhāl-e-manāzir pe raushnī

itne qarīb se bhī nazāra na chāhiye

ham ġhaur kar rahe haiñ to mahfil hai fikr meñ

uThnā na chāhiye ki uThānā na chāhiye

dastūr hai guzārish-e-ahvāl-e-vāqa.ī

qānūn ye nahīñ hai ki shikva na chāhiye

tūfān-e-inqalāb se māyūsiyoñ ke ba.ad

kashtī pukārtī hai kinārā na chāhiye

gul-hā-e-rañg-rañg meñ Thantī nahīñ kabhī

ham ko bhī is lihāz se jhagḌā na chāhiye

kaTtī hai aarzū ke sahāre pe zindagī

kaise kahūñ kisī kī tamannā na chāhiye

merā qusūr ye hai ki hubb-e-vatan meñ ‘shād’

likhtā huuñ likh chukā huuñ jo likhnā na chāhiye

Leave a Comment