kuchh soch ke iz.har-e-ḳhayalat na karna
har baat ko sunna vo tira baat na karna
aisa na ho dar-asl tumhen apna samajh len
is darja gharibon ki mudarat na karna
hai farq maratib ke liye saara zamana
maiḳhane men tauhin-e-musavat na karna
ik farz hai tazim-e-ravayat ba-har-taur
ik farz hai tarmim-e-rivayat na karna
paimana-ba-kaf jab ho javani ki hikayat
is baab men sanjida savalat na karna
ik baar tavajjoh se koi baat to sun lo
phir chahe kabhi ham se mulaqat na karna
asan hai jaan dena kisi baat pe ‘nuri’
dushvar hai iz.har-e-ḳhayalat na karna
Leave a Reply