vo jald-baz shaḳhs ka.enat kaise ho gaya
nahin nahin ki guunj men sabat kaise ho gaya
mujhe to apni pyaas ka shu.ur tha ghurur tha
vo ek ghunT baḌh ke yuun furat kaise ho gaya
miri to dastaras men ḳhvab tak rahe na the mire
ye kya hua zamana mere saath kaise ho gaya
paḌi hui khajur se nabiz kaise ban ga.i
ruka hua ḳhayal harf-e-na.at kaise ho gaya
bujhe hoi charagh men bani hai kaise raushni
vo munjamid bana hava ke saath kaise ho gaya
suḳhan suḳhan men kis tarah samundaron se baat ki
paḌe paḌe qalam tira davat kaise ho gaya
Leave a Reply