raat ḳhvabon ne pareshan kar diya
sub.h a.ine ne hairan kar diya
bole ”baiTho” aur chehre par mire
ek chehra aur chaspan kar diya
mere aage khinch di kaisi lakir
ik dar-e-be-dar ka darban kar diya
aap phulon titliyon men chhup ga.e
ham ko sahra ka nigahban kar diya
aaise dekha jaise dekha hi nahin
aaj ham ne us ko hairan kar diya
Leave a Reply