raat ke pichhle pahar jis ne jagāyā kyā thā
koī āseb-zada hijr kā saaya kyā thā
na to ham samjhe na kī koī vazāhat dil ne
jaane apnā thā ki vo shaḳhs parāyā kyā thā
ye to sach hai ki laboñ ne na koī jumbish keī
par nigāhoñ ne jo paiġhām sunāyā kyā thā
yuuñ samundar kā havā se to koī rabt na thā
lahar ne phir bhī jo ye shor machāyā kyā thā
vo jo ehsās-e-ta.alluq thā ta.alluq ke baġhair
us ne samjhā na kabhī ham ne jatāyā kyā thā