tumhare honTon se bujhne ko jalna paḌta hai
tumhari aarzu ho to machalna paḌta hai
ba-jism mil nahin sakta so ḳhushbu banta hai vo
mire liye use paikar badalna paḌta hai
hamin bujhate hain lau pahle sab charaghon ki
phir in charaghon ke hisse ka jalna paḌta hai
phir intizar bhi to karna hota hai tera
mujhe to vaqt se pahle nikalna paḌta hai
baḌi hai saḳht miri jaan teri udasi bhi
ba-shakl-o-surat-e-divar Dhalna paḌta hai
main haar jaata huun un do udaas ankhon se
mujhe safar ka irada badalna paḌta hai
Leave a Reply