raat ka naam savera hi sahi
aap kahte hain to aisa hi sahi
kya bura.i hai agar dekh len ham
zindagi ek tamasha hi sahi
kuchh to kandhon pe liye hain ham log
apne armanon ka lasha hi sahi
pichhe haTna hamen manzur nahin
samne aag ka dariya hi sahi
kya zaruri hai ki main naam bhi luun
mera dushman koi apna hi sahi
aa.ina dekh ke Dar jaata huun
aa.ina mera shanasa hi sahi
mera qad aap se uncha hai bahut
main ‘hafiz’ aap ka saaya hi sahi
Leave a Reply