• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Raat Jab zaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai

Raat Jab zaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai

raat jab zaḳhm ke a.ine se Takrati hai

lau charaghon ki shafaq ban ke bikhar jaati hai

ghar ka angan ho ki sahraon ka sannaTa ho

koi avaz ta.aqub men chali aati hai

kitna hassas hai ye alam-e-tanha.i bhi

phuul khilte hain to zaḳhmon se mahak aati hai

har na.i sub.h tiri yaad ka aansu ban kar

zindagi shaam ki palkon se Tapak jaati hai

aag lagti hai ḳhayalon ke ufuq-zaron men

raushni mom ki manind pighal jaati hai

dil ki galiyon se guzarta hai zamana koi

fikr-e-sha.ir men koi raat mahak jaati hai

sochte chehron pe sadiyon ki thakan hai ‘saqib’

jagti ankhon men ab niind kahan aati hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kabhi KHwabon Mein Mila Wo to KHayalon Mein Kabhi

majrooh-sultanpuri

Jis dam Ye Suna Hai Subh-E-Watan Mahbus Faza-E-Zindan Mein

Wasl Ki Baat Aur Hi Kuchh Thi

Usne Socha Bhi Nahin Tha Kabhi Aisa Hoga

poet

Qatil-E-Alam Se Kya Yarana Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet