ab ke junun hua to gareban ko phaaḌ kar
duniya ko chhoḌ ja.unga daman ko jhaaḌ kar
ye aa.ina fareb-e-nazar hai bahut na dekh
ik roz tujh ko pesh karega bigaḌ kar
mehman sara.e-jan men koi Therta nahin
jab se chala gaya use koi ujaaḌ kar
‘farruḳh’ hava hai tez qadam ko jama ke rakh
varna ye phenk degi tujhe bhi ukhaḌ kar
Leave a Reply