bahar hisar-e-dard se aana na tha kabhi
jo dard ab mila hai vo jaana na tha kabhi
iqrar-e-vaqa.i se mira dil saham gaya
apna qusur aap ne maana na tha kabhi
uljhi hava charagh se to jal gaya badan
maghrur sar ka naaz uThana na tha kabhi
ab ke lahu ki rut men juda shaḳh se the phuul
maqtal ka rang itna suhana na tha kabhi
fitrat ke ehtisab men hai za.afaran ka rang
zaitun ka sabz rang miTana na tha kabhi
mahfuz kar liya hai adalat ne faisla
qanun vaqf-e-uzr-e-zamana na tha kabhi
Tanke ‘shahab’ TuuT ga.e fart-e-dard se
manzur dil ka dard dikhana na tha kabhi
Leave a Reply