
Poet
ghazal kahi hai hadis-e-gham-e-jahan ki tarah
sunenge log ise apni dastan ki tarah
fareb deta huun duniya ko inkisari ka
main apne aap men phaila huun asman ki tarah
qadam qadam pe ziya-bariyan ma.az-allah
ye rahguzar hai ki phaili hai kahkashan ki tarah
ye gul to gul hain chaman ko na bech den zalim
jo ruup apna bana.e hain baghban ki tarah
zarur sazish-e-kalak-e-azal thi kuchh is men
paḌa huun ek taraf harf-e-ra.egan ki tarah
kahan tha mera nasheman main sab se puchh aaya
kisi ka ghar na jale mere ashiyan ki tarah
TaTol lena zara un ki astinen bhi
jo tum se haath milate hain raz-dan ki tarah
vo jin ka raz-e-mohabbat tha be-niyaz hue
ham un ka raaz chhupa.e hain apni jaan ki tarah
koi to jaan pe khele hai ban ke parvana
jala kare hai koi sham.a-e-be-zaban ki tarah
mile to qafile sau sau shikasta-pa the hamin
uTh uTh ke baiTh ga.e gard-e-karvan ki tarah

Leave a Reply