shaffaf sat.h-e-ab ka manzar kahan gaya
a.ina chuur chuur hai patthar kahan gaya
rauzan khula tha dil ka hava.en bhi aa.i thiin
lekin qarib-tar tha jo dilbar kahan gaya
ik vo ki jis ko fursat lutf-o-karam nahin
ik main ki sochta huun sitamgar kahan gaya
siine se us ka haath haTana muhal tha
jaate hue vo haath hila kar kahan gaya
pahle yahi taḌap thi ki dastar kyuun giri
aur ab ye sochta huun mira sar kahan gaya
ghar men huun aur soch raha huun na jaane kyuun
divar-o-dar vahi hain mira ghar kahan gaya
sahil pe aa ke sochna ‘anjum’ fuzul hai
kashti kahan ga.i vo samundar kahan gaya
Leave a Reply