mohabbat kashmakash men rah ga.i sirr-e-nihan ban kar
mire dil ka yaqin ho kar tire dil ka guman ban kar
kare shukr-e-mohabbat mera har ruyan zaban ban kar
agar tum biich men aa jaao shart-e-imtihan ban kar
ye kis ki raah par sar de rahe hain mohsin-e-ulfat
ajal ḳhidmat ko aa.i hai hayat-e-javedan ban kar
jhaTakta ja.ega un ko zamana apne daman se
jo kuchh bhi rah ga.e pichhe ghubar-e-karvan ban kar
zamane ki hava ka ruḳh badal jaana muqaddar hai
yahi tinke qafas honge bisat-e-ashiyan ban kar
na ho jab Thokaren khane pe bhi ehsas-e-bedari
na TuTen dil pe kyon nakamiyan barq-e-tapan ban kar
nahin jab naqsh-e-avval ki tarah rang-e-baqa tujh men
zarurat kya hai rahne ki nishana le nishan ban kar
faza pur-kaif ban kar chha ga.i ghunchon ki ra.ana.i
chaman men kaun aata hai bahar be-ḳhizan ban kar
zamin ki tarah jab hasil hai qudrat burdbari ki
rahun ai ‘jurm’ kyon gardish men nahaq asman ban kar
Leave a Reply