raat bhar gardish thi un ke pasbanon ki tarah
paanv men chakkar tha mere asmanon ki tarah
dil men hain lekin unhen dil se gharaz-matlab nahin
apne ghar men rahte hain vo mehmanon ki tarah
dil ke dene ka kahin charcha na karna dekhna
le ke dil samjha rahe hain mehrbanon ki tarah
naam par marne ke marte hain magar marte nahin
kaun ji sakta hai ham se saḳht-janon ki tarah
dil jo kuchh kahta hai karte hain vahi ‘beḳhud’ magar
sun liya karte hain sab ki be-zabanon ki tarah
Leave a Reply