raat aisi ki kabhi jis ka savera na hua
dard aisa ki koi jis ka masiha na hua
raaz ik dil men liye phirte hain sahra sahra
koi hamraz to ho shahr men aisa na hua
mere ehsas ki qismat men hi mahrumi thi
kabhi socha na hua aur kabhi chaha na hua
dil ke a.ine men har aks hai dhundla dhundla
laakh surat hai magar koi bhi tum sa na hua
bazm-e-aghyar men ‘shahid’ ke uḌe the purze
koi charcha na hua koi tamasha na hua
Leave a Reply