• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Quran Kitab Hai Rukh-E-Jaanan Ke Samne

Quran Kitab Hai Rukh-E-Jaanan Ke Samne

poet

quran kitab hai rukh-e-janan ke samne

mushaf utha luun sahab-e-quran ke samne

jannat hai gard kucha-e-janan ke samne

dozakh hai sard sina-e-sozan ke samne

sakta abhi ho ruh-e-sikandar ko sharm se

aina aae gar tire hairan ke samne

bahr-e-ummid gar use phailaun su-e-yar

daman-e-dasht tang ho daman ke samne

dast-e-junun se vo bhi na vahshat men bach saka

parda jo kuchh raha tha gareban ke samne

mashshata ho aziz-e-zulekha agar vo laae

is mehr-e-misr ko mah-e-kanan ke samne

nadan kah rahe hain jise aftab-e-hashr

zarra hai us ke ru-e-darakhshan ke samne

dam band us latode ki jurat ne kar diya

karta hai rez bulbul-e-bustan ke samne

divar surkh khuun se dekhi pata mila

qasid thahar gaya dar-e-janan ke samne

kahte hain roz-e-vasl jise past-hausla

be-qadr hai miri shab-e-hijran ke samne

taqrir dil jalati hai sunne se ai ‘surur’

aata hai kaun mujh sharar-afshan ke samne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Dariya Hun Magar Donon Taraf Sahil Hai Tanhai

Aksar Jue Ke Khel Mein Haari Gai Hun Main

Tishna-Labon Ki Nazr Ko Saughat Chahiye

abrar-ahmad

Aage Badhne Wale

afzal-ahmad-syed

Main darta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet