aah main be-qarar kis ka huun
kushta-e-intizar kis ka huun
tiir sa dil men kuchh khatakta hai
dekhiyo main shikar kis ka huun
dil hai ya main huun main huun ya dil hai
aur ab ham-kanar kis ka huun
chain aata nahin mujhe yaaro
dil-e-pur-iztirar kis ka huun
chaak hai misl-e-gul tamam badan
ya rab itna figar kis ka huun
‘soz’ main jo kaha kahan tha yaar
bola chal be main yaar kis ka huun
Leave a Reply