• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qulzum-E-Ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua

Qulzum-E-Ulfat Mein Wo Tufan Ka Aalam Hua

qulzum-e-ulfat men vo tufan ka aalam hua

jo safina dil ka tha darham hua barham hua

thamna mushkil dil-e-muztar ko sham-e-gham hua

yaad aate hi kisi ki hashr ka aalam hua

kya bata.en kis tarah guzri shab-e-vada miri

muntazir ankhen rahin dil ka ajab aalam hua

dekhte rahte hain is men saare aalam ka zuhur

a.ina dil ka hamare rashk-e-jam-e-jam hua

vo adu ko saath laa.e hain mire ghar dekhiye

sharbat-e-didar ke nusḳhe men daḳhil sam hua

aap ke tir-e-nazar se dil ka bachna hai muhal

jis ko dekha aankh bhar kar bas vahi hamdam hua

kis qadar taskin ranjur-e-mohabbat ko hui

pyaar se dekha jo us ne zaḳhm ko marham hua

jab uThaya yaar ne ru-e-munavvar se naqab

gir paḌa ghash kha ke koi aur koi be-dam hua

gulshan-e-hasti men insan ki nahin kuchh zindagi

jo hua paida misal-e-qatra-e-shabnam hua

gesu-e-pur-ḳham hue un ke pareshan sog men

mere marne se dayar-e-husn men matam hua

baad marne ke hua duniya men yuun mash.hur ‘naz’

shaan se tabut uTTha dhuum ka matam hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Go Jawani Mein Thi Kaj-Rai Bahut

poet

Ham-Nashin Raat Hai to Raat Bhi Dhal Jaegi

poet

Dil Ne Fareb Ishq Mein Khae Kahan Kahan

meer-taqi-meer

Baghair dil Ki Ye Qimat Hai Sare Aalam Ki

Rahat Kahan Nasib Thi Jo Ab Kahin Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet