khush bayaban men magar shahr men darna us ka
kaasa hathon men liye ghar men bhi phirna us ka
dil dukha ke kabhi hansna kabhi rona us ka
mere angan men likha tha nahin basna us ka
us ne tanhai men bhi anjuman-arai ki
chand ne dekh liya ankhon ko bharna us ka
main ne dekha hai sar-e-sham udasi ka khiram
paanv men chhale pahan ke na thaharna us ka
aaina dekhna manzur nahin tha us ko
lutf deta tha hava ban ke guzarna us ka
har khalish aan ke rukti thi miri banhon men
zindagi dekhti rahti thi tadapna us ka
hai ajab tarz-e-mulaqat ajab tarz-e-safar
paas aa ke na thaharna na guzarna us ka
Leave a Reply