main harf dekhun ki raushni ka nisab dekhun
magar ye aalam ki Tahniyon par gulab dekhun
purane ḳhvabon se reza reza badan hua hai
ye chahta huun ki ab naya koi ḳhvab dekhun
ye raste to miri hatheli ke tarjuman hain
main in lakiron men zindagi ki kitab dekhun
muraja.at ka safar to mumkin nahin raha hai
main chalta ja.un ki mausamon ka azaab dekhun
main apni tasvir dekh kar mutmain kahan huun
vo din bhi aae lahu ko jab kamyab dekhun