tez andhi ne faqat ik sa.eban rahne diya
ham zamin-zadon ke sar par asman rahne diya
lafz vo barte ki saari baat mub.ham ho ga.i
ik parda tha ki haa.el darmiyan rahne diya
aankh basti ne sabhi mausam musafir kar diye
ek ashkon ki ravani ka saman rahne diya
ḳhuun ki surḳhi andheron men ujala ban ga.i
ham ne har surat charaghon ko javan rahne diya
sad-kamal-e-mehrbani paniyon ne is daf.a
kaghzi kashti ko lahron par ravan rahne diya
laakh koshish par bhi ghar ko ghar na kar paa.e ‘shafiq’
aur phir ham ne makan ko bas makan rahne diya
Leave a Reply