qisse se tire meri kahani se ziyada
paani men hai kya aur bhi paani se ziyada
is khaak men pinhan hai koi khvab-e-musalsal
hai jis men kashish alam-e-fani se ziyada
nakhl-e-gul-e-hasti ke gul-o-barg ajab hain
udte hain ye auraq-e-khizani se ziyada
har rukh hai kahin apne khad-o-khal se bahar
har lafz hai kuchh apne maani se ziyada
vo husn hai kuchh husn ke azar se badh kar
vo rang hai kuchh apni nishani se ziyada
ham paas se tere kahan uth aae hain ye dekh
ab aur ho kya naql-e-makani se ziyada
is shab men ho girya koi tariki se gahra
ho koi mahak rat-ki-rani se ziyada
ham kunj-e-tamanna men rahenge ki abhi tak
hai yaad tiri yad-dahani se ziyada
ab aisa zubun bhi to nahin haal hamara
hai zakhm ayaan dard-e-nihani se ziyada