Aap to Ghabra Gae Betabi-E-Dil Dekh Kar

aap to ghabrā ga.e betābī-e-dil dekh kar

kyā kaheñge banda-parvar ahl-e-mahfil dekh kar

maiñ to huuñ parda-e-āġhosh-e-tūfān-e-fanā

ḳhud Dubo detā huuñ kashtī qurb sāhil dekh kar

ik nigāh-e-lutf kī muhtāj hai tāmīr-e-ishq

aap kyuuñ ghabrā ga.e TuuTā huā dil dekh kar

vo bhī ‘naḳhshab’ be-ḳhudī-e-dil se āsāñ ho gayā

dard jo baḳhshā gayā thā ham ko mushkil dekh kar

Leave a Comment