qismat ki baat kar na muqaddar ki baat kar
husn-e-amal ki husn-e-tadabbur ki baat kar
kar apne ghar ki baat to auqat apni dekh
daara ki baat kar na sikandar ki baat kar
kya gham jo mal-o-zar se nahin faizyab tu
shikva na kar kisi se muqaddar ki baat kar
jo kuchh mila hai tujh ko muqaddar ki den hai
aql-o-hunar na husn-e-tadabbur ki baat kar
sha.ir hai agar sher ki qimat na kar vasul
apna hunar na bech suḳhan-var ki baat kar
yakta ho be-misal ho lakhon men ek ho
aise hi kisi mard-e-dilavar ki baat kar
kis maḳhmase men paḌ gaya ‘azam’ tu aj-kal
vahm-o-guman ko chhoḌ hunar-var ki baat kar
Leave a Reply