duur tak aa.iin nazar dariya men
kashtiyan garm-e-safar dariya men
mauj-dar-mauj thirakti rahi raat
chand ki ujli gagar dariya men
ham na bhule kabhi un ankhon ko
vo charaghon ka safar dariya men
kis ne chupke se kaha Duub hi ja
kaun tha pichhle pahar dariya men
ham kahan kho.e rahe der talak
dekh kar aks-e-shajar dariya men
Leave a Reply