qatil ko tegh-e-naz pe hai naaz dekhna
daman uTha ke chalne ka andaz dekhna
rashk-e-raqib ka to guman bhi na kijiye
marta huun is liye ki hai e.ajaz dekhna
tum aur apne va.ade pe aa jaao shaam se
kya baat ban paḌi hai ḳhuda-saz dekhna
hai ḳhun-e-dil abhi sar-e-mizhgan jama hua
un ki taraf na dida-e-ghammaz dekhna
fasl-e-bahar aate hi mutrib bani saba
chheḌa shamim-e-gul ne naya saaz dekhna
a.ina samne na sahi aarsi to hai
tum apne muskurane ka andaz dekhna
baazu hain va qafas men taḌapta huun rat-din
kis se kahun ki hasrat-e-parvaz dekhna
yuun dekhne ke vaste lakhon hasin hain
kis ko hua nasib ye andaz dekhna
ghussa men aankh bhi nahin milti kisi se aaj
kis par gire nigah ka shahbaz dekhna
har lab pe gudgudi ka asar dekhta huun main
mahfil men un ki shoḳhi-e-avaz dekhna
qaa.il bani nazakat-e-avaz dekhna
likhe hain sher hazrat-e-‘beḳhud’ ke rang men
ai ahl-e-bazm ‘shad’ ka e.ajaz dekhna
Leave a Reply