qarib aa ke bhi ik shaḳhs ho saka na mira
yahi hai meri haqiqat yahi fasana mira
ye aur baat ki mujh ko na mil saka ab tak
tire jahan men kahin hai sahi Thikana mira
charagh kahne laga phir hava ke jhonke se
ye ehtimam to ai dost hai tira na mira
so ab tu bazm-e-tamanna men ta.irana chahak!
tire dimagh pe halka sa bojh tha na mira?
abhi to guunj rahe hain badan men sho.ale se
abhi to ḳhaam hai andaz-e-ashiqana mira
kahan majal ki marzi se phaḌphaḌa bhi sukun
qafas-misal hai ‘aslam’ ye ashiyana mira
Leave a Reply