qana.at umr-bhar ki ghar ke bam-o-dar pe rakkhi thi
main zer-e-asman tha dhuup mere sar pe rakkhi thi
ta.ajjub kya jo ab bhi DhunDte hain sang-e-dar koi
ki ham ne ibtida tahzib ki patthar pe rakkhi thi
vahi chehre lahu ki garm-bazari men shamil the
jinhon ne apni gardan baḌh ke ḳhud ḳhanjar pe rakkhi thi
main ashiq huun badal Daala mujhe ishq-o-qana.at ne
ujala dil men tha duniya miri Thokar pe rakkhi thi
na jaane main kahan bhaTka kiya ḳhvabon ki basti men
khuli jab aankh to dekha thakan bistar pe rakkhi thi
mire bachchon ne vo dastar bhi jaane kahan rakh di
buzurgon ki nishani thi abhi tak ghar pe rakkhi thi
vahi tahzib ab ham ko ‘ziya’ jiine nahin deti
kabhi buniyad jis ki ham ne mal-o-zar pe rakkhi thi
Leave a Reply