tira kya kaam ab dil men gham-e-janana aata hai
nikal ai sabr is ghar se ki sahib-khana aata hai
nazar men teri ankhen sar men sauda teri zulfon ka
kai pariyon ke saae men tira divana aata hai
vafur-e-rahmat-e-bari hai mai-khvaron pe in rozon
jidhar se abr uthta hai su-e-mai-khana aata hai
lagi dil ki bujhae bekasi men kaun hai aisa
magar ik girya-e-hasrat ki be-tabana aata hai
unhin se ghamze karti hai jo tujh par jaan dete hain
ajal tujh ko bhi kitna naz-e-maashuqana aata hai
pareshani men ye aalam tiri zulfon ka dekha hai
ki ik ik baal par qurban hone shana aata hai
chhalak jaata hai jam-e-umr apna vae-nakami
hamare munh talak saaqi agar paimana aata hai
vo but hi mehrban sab apna apna haal kahte hain
lab-e-khamosh tujh ko bhi koi afsana aata hai
tilism-e-taza tera saya-e-divar rakhta hai
badalta hai pari ka bhes jo divana aata hai
ye azmat rah ke zahid in buton men ham ne paai hai
ki kaaba ham ko lene ta-dar-e-mai-khana aata hai
do-rangi se nahin khali adam bhi surat-e-hasti
koi hoshyar aata hai koi divana aata hai
huma yuun ustukhvan-e-sokhta par mere girta hai
tadap kar shama par jaise koi parvana aata hai
udhar hain husn ki ghaten idhar hain ishq ki baten
tujhe afsun to mujh ko use pari afsana aata hai
kaleja haath se ahl-e-tamaa ke chaak hota hai
sadaf-asa agar mujh ko mayassar daana aata hai
namak jallad chhidka chahta hai mere zakhmon par
maze ka vaqt ab ai himmat-e-mardana aata hai
zabardasti ka dhadka vasl men tum ko samaya hai
kidhar ho hosh men aao koi aaya na aata hai
ilahi kis ki sham-e-husn se raushan hai ghar mera
ki ban jaata hai jugnu aaj jo parvana aata hai
vo ashiq khal-o-khat ka huun nazr-e-mor karta huun
mayassar tisare din bhi jo mujh ko daana aata hai
‘amir’ aur aane vaala kaun hai gor-e-ghariban par
jo raushan shama hoti hai to haan parvana aata hai
Leave a Reply