qaa.il karun kis baat se main tujh ko sitamgar
Dhalvan pe rukta nahin paani ho ki patthar
suraj nikal aaya to vo mausam na rahega
kuchh der ka mehman hai yahan sub.h ka manzar
bahar jo main niklun to barahna nazar aa.uun
baiTha huun main ghar men dar-divar pahan kar
bekar gaya gahre samundar men utarna
lahren mujhe phir Daal ga.iin ret ke uupar
aa dekh ki huun ab bhi main aghosh-kushada
ankhen hain miri os men bhiga hua bistar
kya mujh se miri umr ka qad naap rahe ho
har pal hai yahan kitni hi sadiyon ke barabar
badal ho to phir khul ke baras lo kabhi shahid
hai baat agar dil men to kah do use munh par
Leave a Reply