• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qaidi Hun Sar-E-Zulf-E-Girah-Gir Se Pahle

Qaidi Hun Sar-E-Zulf-E-Girah-Gir Se Pahle

poet

qaidi huun sar-e-zulf-e-girah-gir se pahle

paband huun paidaish-e-zanjir se pahle

sar-gashta huun daur-e-falak-e-pir se pahle

gardish men huun main gardish-e-taqdir se pahle

kya laati hai teri nigah-e-qahr ka muzhda

daude hue aati hai ajal tiir se pahle

nalon se unhen hoti hai nafrat evaz-e-lutf

taqdir bigad jaati hai tadbir se pahle

maara hai mujhe khanjar-e-abru se kisi ne

nahlaiyo ab-e-dam-e-shamshir se pahle

ghar se tire divane ne jab paanv nikala

chhalon ne qadam le liye zanjir se pahle

kis tarah kahun aap ke honton ki halavat

lab band hue jaate hain taqrir se pahle

paband-e-gham-e-zulf ka marna na chhupega

pahunchegi khabar nala-e-zanjir se pahle

kis hausle par talib-e-didar hai aalam

ankhen to lada le koi tasvir se pahle

be-tab hue yaar ki chutki se nikal kar

tiir aap tadapne lage nakhchir se pahle

paane ki nahin dil ka thikana khalish-e-gham

jab tak na pata puchhe tire tiir se pahle

ghabrane se kya kaam ‘munir’-e-jigar-afkar

tu arz to kar hazrat-e-shabbir se pahle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mera KHud Se Milne Ko Ji Chahta Hai

Har ghaDi Ek Yahi Ehsas-E-Ziyan Rahta Hai

Ye Bhi Shayad Tera Andaz-E-Dil-Arai Hai

Bahut ghuTan Hai Yahan Par Koi Bacha Le Mujhe

poet

uTh Ke Logon Se Kinare Aaiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet