qaid-e-shab-e-hayat badan men guzar ke
uḌ ja.unga main sub.h aziyyat utaar ke
ik dhuup zindagi ko yuun sahra bana ga.i
aa.e na is ujaaḌ men mausam bahar ke
ye be-gunah sham.a jalegi tamam raat
is ke labon se chhu ga.e the lab sharar ke
silan ko raah mil ga.i dimak ko sair-gah
anjam dekh lijiye ghar ki darar ke
sajti nahin hai tum pe ye tahzib-e-maghribi
ik to phaTe libas hain vo bhi udhar ke
badal nahin huzur ye andhi hai aag ki
ankhon se dekhiye zara chashma utaar ke
jab hathkaḌi ko toḌ ke kafir hua farar
rote rahe asiir ḳhuda ko pukar ke
Leave a Reply