qafas men phaila.ega ye par to ḳhala men dast-e-talab banega
aur ek din phir yahi parinda riha.iyon ka sabab banega
siyah kaghaz pe raushni ke kuchh isti.are talash karna
phir us ujale men dekh lena hamara nam-o-nasab banega
jo ḳhat lifafe men tha achanak hi us ke hathon men aa gaya hai
tamam lafzon ke a.ine men hamara chehra to ab banega
main zabt karta rahun ghamon ko tabhi to ye ḳhaak nam banegi
junun men aa ke bikhar gaya to ghubar mera laqab banega
abhi hai mauqa uThao ḳhanjar mujhe ḳhamoshi se qatl kar do
tumhare lahje se zahar vaise bhi jab banega so tab banega
jo quds ki sarzamin pe raushan sitara ban ke chamak raha tha
ba-roz-e-mahshar gavah us ka ajam se le kar arab banega
Leave a Reply