ajiib tajraba tha bhiiḌ se guzarne ka
use bahana mila mujh se baat karne ka
phir ek mauj-e-tah-e-ab us ko khinch ga.i
tamasha ḳhatm hua Dubne ubharne ka
mujhe ḳhabar hai ki rasta mazar chahta hai
main ḳhasta-pa sahi lekin nahin Thaharne ka
thama ke ek bikharta gulab mere haath
tamasha dekh raha hai vo mere Darne ka
ye asman men siyahi bikher di kis ne
hamen tha shauq bahut us men rang bharne ka
khaḌe hon dost ki dushman safen sab ek si hain
vo janta hai idhar se nahin guzarne ka
nigah ham-safaron par rakhun sar-e-manzil
ki marhala hai ye ik dusre se Darne ka
lapak lapak ke vahin Dher ho ga.e aḳhir
jatan kiya to bahut sat.h se ubharne ka
karan karan na saza koi sair karne ki
safar safar na koi hadsa guzarne ka
kisi maqam se koi ḳhabar na aane ki
koi jahaz zamin par na ab utarne ka
koi sada na sama.at pe naqsh hone ki
na koi aks miri aankh men Thaharne ka
na ab hava mare siine men sansanane ki
na koi zahr miri ruuh men utarne ka
koi bhi baat na mujh ko udaas karne ki
koi suluk na mujh pe giran guzarne ka
bas ek chiḳh giri thi pahaḌ se yak-laḳht
ajab nazara tha phir dhund ke bikharne ka
Leave a Reply