qadmon ko Thaharne ka hunar hi nahin aaya
sab manzilen sar ho ga.iin ghar hi nahin aaya
thi tegh usi haath men qatil bhi vahi tha
jo haath ki maqtal men nazar hi nahin aaya
ghar khod diya saara ḳhazane ki havas men
niiv aa ga.i tah-ḳhane ka dar hi nahin aaya
kya shaḳhon pe itra.iye kya kiije gulon ka
peḌon pe agar koi samar hi nahin aaya
sau ḳhauf zamane ke simaT aa.e hain dil men
bas ek ḳhuda-pak ka Dar hi nahin aaya
Leave a Reply