qadmoñ kā rah-e-dil pe nishāñ koī nahīñ thā
muddat se yahāñ gasht-kunāñ koī nahīñ thā
tujh ko to mire dost hai tanhā.ī mayassar
maiñ ne vahāñ kaaTī hai jahāñ koī nahīñ thā
vaise to bahut bhiiḌ thī is ḳhāna-e-dil meñ
lekin mire matlab kā yahāñ koī nahīñ thā
koī bhī nahīñ thā jise ham dil kī sunāte
koī bhī nahīñ thā mirī jaañ koī nahīñ thā
tū chhoḌ gayā tab bhī ziyāñ koī nahīñ hai
tū saath bhī hotā to ziyāñ koī nahīñ thā
tū vahm thā merā ki koī Duub rahā hai
tū sach meñ sar-e-āb-e-ravāñ koī nahīñ thā