• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qadam Yun Be-KHatar Ho Kar Na Mai-KHane Mein Rakh Dena

Qadam Yun Be-KHatar Ho Kar Na Mai-KHane Mein Rakh Dena

poet

qadam yuun be-ḳhatar ho kar na mai-ḳhane men rakh dena

bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrane men rakh dena

suna hai hazrat-e-va.iz idhar tashrif la.enge

zara us kasa-e-gardun ko mai-ḳhane men rakh dena

buton ke dil men yuun shayad ḳhuda ka ḳhauf paida ho

ye mere dil ke TukḌe ja ke but-ḳhane men rakh dena

yahan ai dil farishton ka bhi zohra aab hota hai

qadam asan nahin ulfat ke virane men rakh dena

chala hai ghar ko divana uḌa kar ḳhaak sahra ki

ghubar-e-ḳhatir-e-ahbab kashane men rakh dena

ziyarat ko vo dasht-e-najd ka jan-baz aa.ega

zara dam-bhar ko meri naash virane men rakh dena

ba-faiz-e-hazrat-e-naseh hui taufiq tauba ki

mira jam-e-shikasta un ke shukrane men rakh dena

munafi tha ye ai mansur dastur-e-amanat ke

kisi ki baat ko yuun apne begane men rakh dena

pila.i hai jo ‘vasif’ ko mai-e-mard-azma saaqi

to kuchh shan-e-ḳhudi bhi apne divane men rakh dena

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kya Masarrat Hai Puchhiye Humse

Sufi

Kal Raat dil Mein Yaadon Ka Mela Laga Raha

Main Shakl Dekh Ke Kaise Kahun Ki Kya Hoga

Hafiz Shirazi

Aashiq-e-Yaram Mara Ba-Kufr-O-Ba-Iman Che Kar

Dil Ki Rudad Dil-Lagi Na Sahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet