chahta huun ki mira dard-e-jigar aur baḌhe
tirgi-e-shab-e-gham ta-ba-sahar aur baḌhe
duur hai mujh se abhi daman-e-sad-rang un ka
karvan ashkon ka ai dida-e-tar aur baḌhe
yuun to tanha hi chala ja.unga main manzil tak
tum agar saath chalo azm-e-safar aur baḌhe
kitni rangin hai jis raah pe uTTha hai qadam
chahta huun ki tiri rahguzar aur baḌhe
abhi bhaḌki hai ki aati hai mahak sho.alon ki
ishq ki aag agar aur agar aur baḌhe
abhi is siine men zaḳhmon ki jagah baaqi hai
aap ki shoḳh-ada shoḳh-nazar aur baḌhe
Leave a Reply